Mehfil
Shayari from the writers you follow, the newest Kalam from our members, and what readers are appreciating most.
Abhi abhi
Aah ko chahiye ik umr asar hone takKaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
Na tha kuch to khuda tha kuch na hota to khuda hotaDuboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota
Hum ne maana ki taghaful na karoge lekinKhaak ho jaayenge hum tum ko khabar hone tak
Ragon mein daudte phirne ke hum nahin qaa'ilJab aankh hi se na tapka to phir lahu kya hai
Bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaAadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona
Hui muddat ki Ghalib mar gaya par yaad aata haiVo har ik baat pe kehna ki yoon hota to kya hota
Maut ka ek din mu'ayyan haiNeend kyon raat bhar nahin aati
Koi ummeed bar nahin aatiKoi soorat nazar nahin aati
Dard minnat-kash-e-dawa na huaMain na achha hua bura na hua
Ishq par zor nahin hai ye vo aatish GhalibKi lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne kaUsi ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle
Ye na thi hamari qismat ki visaal-e-yaar hotaAgar aur jeete rehte yahi intezaar hota
