Love Shayari in Hinglish
Yahan padhiye chuninda love shayari Hinglish mein: do line ke sher, dil ko chhoo lene wali lines aur status ke liye shayari. Har shayari ko copy kijiye, WhatsApp par bhejiye ya uska card banaiye. Nayi shayari roz judti hai.
Aah ko chahiye ik umr asar hone takKaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
Hum ne maana ki taghaful na karoge lekinKhaak ho jaayenge hum tum ko khabar hone tak
Ishq par zor nahin hai ye vo aatish GhalibKi lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne kaUsi ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle
Ye na thi hamari qismat ki visaal-e-yaar hotaAgar aur jeete rehte yahi intezaar hota
Un ke dekhe se jo aa jaati hai munh par raunaqVo samajhte hain ki beemar ka haal achha hai
Ishq ne Ghalib nikamma kar diyaVarna hum bhi aadmi the kaam ke
Dil-e-nadaan tujhe hua kya haiAakhir is dard ki dawa kya hai
