Zindagi Shayari in Hinglish
Yahan padhiye chuninda zindagi shayari Hinglish mein: do line ke sher, dil ko chhoo lene wali lines aur status ke liye shayari. Har shayari ko copy kijiye, WhatsApp par bhejiye ya uska card banaiye. Nayi shayari roz judti hai.
Na tha kuch to khuda tha kuch na hota to khuda hotaDuboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota
Bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaan honaAadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona
Maut ka ek din mu'ayyan haiNeend kyon raat bhar nahin aati
Hum ko maaloom hai jannat ki haqiqat lekinDil ke khush rakhne ko Ghalib ye khayal achha hai
Hazaaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dam nikleBahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle
